Monday, November 29, 2010

kambaKHt dil ko chain nahiN hai, kisi tarah

na taab hijr me hai, na aaraam wasl me, kambaKHt dil ko chain nahiN hai, kisi tarah

Sunday, November 28, 2010

Maza Kis me hai?jalne me ya jalane me.


Na mila dil ka qadardan is Zamane me,
Ye rishta toot gaya Dekhne aur Dikhane me,
sochtay hain ek Roz Shama se pochen,
Maza Kis me hai?jalne me ya jalane me.....

Saturday, September 18, 2010

mohabbat ka nasha



Kuch mohabbat ka nasha tha pehle hum ko Faraz.
Dil jo tuta to nashe se muhabat ho gai.

Sunday, September 12, 2010

Hum Ahl-e-muhabbat


Kaanton Se Guzar Jaanaa Sholon Se Nikal Jaanaa Phuulon Kii Bastii Main Jaanaa To Sambhal Jaanaa
Din Apne Chiraaghon Ki Maanind Guzarte Hain Har Subah Ko Bujh Jaanaa Har Shaam Ko Jal Jaanaa
Bachchon Ki Si Fitrat Hai Hum Ahl-e-muhabbat Ki Zid Karnaa Machal Jaanaa Phir Khud Hi Sambhal Jaanaa
Vo Shakhs Bhalaa Mera Kyaa Saath Nibhaayegaa Maus
am Ki Tarah Jis Ne Siikhaa Hai Badal Jaanaa

Monday, September 6, 2010

har qadam par nit naye saaNche


har qadam par nit naye saaNche mey Dhal jaate hai.n log
dekhte he dekhte kitne badal jaate hai.n log

Sunday, September 5, 2010

apni adaon pe zara ghour karain

Aap hi apni adaon pe zara ghour karain faraz,
Hum agar arz karain ge to shikayat hogi.

Saturday, September 4, 2010

zahey naseeb keh tum sa mila hey dost



zahey naseeb keh tum sa mila hey dost
verna dard ki lazzat se na ashna rehtey

Monday, August 30, 2010

badal jaatay hain insaan



younhi mosam ki adaa daikh k yaad aaya hay
kis qadar jald badal jaatay hain insaan jana

Saturday, August 28, 2010

bas itna he kaha tha :)



Usay bas itna he kaha tha ke barso sa hum pyase hai saqi,
Us nay Honton pay rakh ke Hont mujhy khamoash kar diya

Sunday, July 25, 2010

pathar ke ho gaye....



Log muntazir they ke mujhe toot’ta dekhein Faraz
aur hum zabt karte karte pathar ke ho gaye.


Saturday, July 24, 2010

Akela Waris Hon Main Uskii Nafraton ka Faraz



Akela Waris Hon Main Uskii Nafraton ka Faraz
Jo Shaks Saare Shehr Men Pyaar Baant’ta hai..

Friday, July 23, 2010

Kuch is tarah nazar andaaz ho gay Faraz...



Kuch is tarah nazar andaaz ho gay Faraz
Jesay izafi hurf thay hum teri zindgi ki kitaab me..

Thursday, July 22, 2010

ye shab-e-firaq ye bebasii hain qadam qadam pe udaasiyaan ....



ye shab-e-firaq ye bebasii hain qadam qadam pe udaasiyaan
meraa saath koii na de sakaa merii hasaraten hain dhuaan dhuaan

Wednesday, July 21, 2010

Juda huye hain kayi log ......



Khulus o Meher o Wafa log kar chuke hain bohot
Mere khayal me ab aur koi kaam karen
Juda huye hain kayi log ek tum bhi sahi
Ab itni si baat pe kya Zindigi haram karen..

Tuesday, July 20, 2010

Gum ki jageer...



Ghum ki jaageer wiraasat mein mili hai Mujh ko
Apni Jaageer mein rehta hoon Nawaabon ki tarah

Sunday, July 18, 2010

daman bhi daba rakha hai.



tohkarein maar ke mehfil se uthatey hain mujhe
aur ek pawon se daman bhi daba rakha hai.


Sunday, July 11, 2010

dost ya dushman ?



yah dosto'n ka ravaiyya, yah dushmano'n ka salook
jo mujh se poochho to dono mein koee farq nahee'n

Saturday, July 10, 2010

khusioun ka dour bhi kabhi aa jaye ga 'faraz'

khusioun ka dour bhi kabhi aa jaye ga 'faraz'
gham bhi tu mil gaye hain tamana kiye begair

Monday, May 17, 2010

Another pearl from Faraz,



Bohat ajeeb hen yeh bandishen Muhabbat ki Faraz
Na us ne qaid me rakha na hum farar huway...


Thursday, May 13, 2010

Rok lena mera ..



harf e ilzaam banu ya dua ho jaaon
kash!!! main kabhie teray hounton se adaa ho jaaon
rok lena mera haath pakar kar mujhko
baykhayaali main agar tujh se juda ho jaaon

Wednesday, May 12, 2010

Aisi sharaab



Aisi sharaab mujhae aye parwar digaar dae
jo meray dil ki doobti kashti oobaar dae
jo charhae to sari umer charhi rahae
jo ootray toh zindagi ka nasha bhi ootar dae


Tuesday, May 11, 2010

Dil kisi hal pe maanne hi nahin



Dil vo bemehar ki rone ke bahane maNge
Apana ye haal ke jee haar chuke luT bhi chuke
Aur muhabbat vahi andaz purane maNge
Ham na hote to kisi aur ke charche hote
Khalqat-e-shahar to kehane ko fasane maNge
Dil kisi hal pe maanne hi nahin jan-e-`Faraz`
Mil gaye tum bhi to kya aur na jane maNge

Friday, May 7, 2010

andesha to pehli he mulaqaat se tha



mujh se mukhlis na waqif mere jazbaat se tha
us ka rishta to faqat apne mafadaat se tha
ab jo bichra hai to kiya roe judaie pe teri
yea andesha to pehli he mulaqaat se tha

Thursday, May 6, 2010

Pehli Bauchaar !!



A ode to the weather today and for a friend to cheer up !


OOmas se mat himmat haar
Le paD gayii, pehlii baucHaar

Hariyaali ke swaagat mein
Toofaan ka saadar sweekaar

Sarwar nadi sabko mat laa
Naachein - jhoom, hilorein maar

Daanaa paanii walon se
keh, jaan - apne bhandaar

Maruthal tak pahunchaanii hai
Maidaan kii barsaatii dhaar

Shehron mein bhii laanii hai
Gaanvon kii, atirikt bahaar

Aaj se hii taiyaarii kar
Kal kii khaatir, mere yaar

Karne ko, hai kyaa dushvaar?
Naa karne ke, sabab hazaar!!

Us par shaq bhii kiyaa karo
Jiske haathon do patvaar

Tum agar yaad rakho ge to enayat hogi..



Tum agar yaad rakho ge to enayat hogi,
warna humko bhi kahan aapse shikayaat hogi,
Zindagi dard k sehra ka unwaan sahi,
Tum agar bhool B jao to Riwayat hogi.

Wednesday, May 5, 2010

Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain



Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain

Kabi Mehfil Mehfil phirtey hian, Kabi Zaat mai Tanha hote hain
Kabi Chup ki Mohrr lagate hain, Kabi Geet Labon per latey hian

Kabi Sab ka Dil Behlatey hain, Kabi Khood mai Tanha hote hain
Kabi Shab-Bhar Jagte rehte hain, Kabi Lambi Taan ker sotey hain

Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain


Monday, May 3, 2010

Hum se bichar ke - another pearl from 'Faraz'

Hum Se Bichar K Us Ka Takabbur Bikhar Gaya Faraz
Har Ek Se Mil Raha Hy Barii Aajzii K Saath

[ Takabbur (a.) n.: pride, arrogance ] [Aajizii (u.) adj.: humble]

Another excellent sher from 'Faraz'. It is not funny when you come across a couplet that can describe your thoughts so profoundly, and we call it poetry. :)

Mohabbate’n

The first couplet from one of my favorite poets of modern times - Ahmed 'Faraz'

Kon Kehta Hy k Nafrato’n Main Dard Hy ‘Faraz’
Kuch Mohabbate’n Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !!