Monday, May 17, 2010

Another pearl from Faraz,



Bohat ajeeb hen yeh bandishen Muhabbat ki Faraz
Na us ne qaid me rakha na hum farar huway...


Thursday, May 13, 2010

Rok lena mera ..



harf e ilzaam banu ya dua ho jaaon
kash!!! main kabhie teray hounton se adaa ho jaaon
rok lena mera haath pakar kar mujhko
baykhayaali main agar tujh se juda ho jaaon

Wednesday, May 12, 2010

Aisi sharaab



Aisi sharaab mujhae aye parwar digaar dae
jo meray dil ki doobti kashti oobaar dae
jo charhae to sari umer charhi rahae
jo ootray toh zindagi ka nasha bhi ootar dae


Tuesday, May 11, 2010

Dil kisi hal pe maanne hi nahin



Dil vo bemehar ki rone ke bahane maNge
Apana ye haal ke jee haar chuke luT bhi chuke
Aur muhabbat vahi andaz purane maNge
Ham na hote to kisi aur ke charche hote
Khalqat-e-shahar to kehane ko fasane maNge
Dil kisi hal pe maanne hi nahin jan-e-`Faraz`
Mil gaye tum bhi to kya aur na jane maNge

Friday, May 7, 2010

andesha to pehli he mulaqaat se tha



mujh se mukhlis na waqif mere jazbaat se tha
us ka rishta to faqat apne mafadaat se tha
ab jo bichra hai to kiya roe judaie pe teri
yea andesha to pehli he mulaqaat se tha

Thursday, May 6, 2010

Pehli Bauchaar !!



A ode to the weather today and for a friend to cheer up !


OOmas se mat himmat haar
Le paD gayii, pehlii baucHaar

Hariyaali ke swaagat mein
Toofaan ka saadar sweekaar

Sarwar nadi sabko mat laa
Naachein - jhoom, hilorein maar

Daanaa paanii walon se
keh, jaan - apne bhandaar

Maruthal tak pahunchaanii hai
Maidaan kii barsaatii dhaar

Shehron mein bhii laanii hai
Gaanvon kii, atirikt bahaar

Aaj se hii taiyaarii kar
Kal kii khaatir, mere yaar

Karne ko, hai kyaa dushvaar?
Naa karne ke, sabab hazaar!!

Us par shaq bhii kiyaa karo
Jiske haathon do patvaar

Tum agar yaad rakho ge to enayat hogi..



Tum agar yaad rakho ge to enayat hogi,
warna humko bhi kahan aapse shikayaat hogi,
Zindagi dard k sehra ka unwaan sahi,
Tum agar bhool B jao to Riwayat hogi.

Wednesday, May 5, 2010

Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain



Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain

Kabi Mehfil Mehfil phirtey hian, Kabi Zaat mai Tanha hote hain
Kabi Chup ki Mohrr lagate hain, Kabi Geet Labon per latey hian

Kabi Sab ka Dil Behlatey hain, Kabi Khood mai Tanha hote hain
Kabi Shab-Bhar Jagte rehte hain, Kabi Lambi Taan ker sotey hain

Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain


Monday, May 3, 2010

Hum se bichar ke - another pearl from 'Faraz'

Hum Se Bichar K Us Ka Takabbur Bikhar Gaya Faraz
Har Ek Se Mil Raha Hy Barii Aajzii K Saath

[ Takabbur (a.) n.: pride, arrogance ] [Aajizii (u.) adj.: humble]

Another excellent sher from 'Faraz'. It is not funny when you come across a couplet that can describe your thoughts so profoundly, and we call it poetry. :)

Mohabbate’n

The first couplet from one of my favorite poets of modern times - Ahmed 'Faraz'

Kon Kehta Hy k Nafrato’n Main Dard Hy ‘Faraz’
Kuch Mohabbate’n Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !!